About Me

My photo
Enjoy sharing thoughts through pen..

Tuesday 4 October 2011

uthe sabke kadam dekho ram-pam-pam aji ese geet gaya karo kabhi khushi kabhi gam tara-rum-pam-pam haso or hasaya karo :)



kehne ko zindagi kitni badi he pr kehne ko zindagi kitni chhoti he!! kehte he na asli jeena to sirf ek din ka he baki to repeatition he usi ek din ka!! aap chahe jese jee lijiy.....har harkat repeat honi he.

subah uthne se lekar raat ko sone tak. agar koi khushiya he to wo bhi repeation he or dukh he to wo bhi. ek hi khushi se jyada time tk khush nhi ho pate khushi bhi dard ban jati he....lekin ek hi dukh se hazaro bar dukhi hua ja sakta he or esa dukh agar kbhi khushi ban gaya galti se to zindagi khushaal ban jati he.

Ab jab sari zindagi ek repeation hi he to hm kyu na fir kuch chhoti chhoti takrar ko bhulkar aapas mei sabhi k sath pyar se hasi khushi se mel-jhol se rahe?? Ohho mei to bhul hi gayi thi ki kathni or karni mei fark hota he!! ye sab kehna jitna aasaan he, karna utna hi mushkil. Or koshish jb tk dono taraf se na ki gayi ho tb tk koshish karna bhi bekar he, aajkal ke kaljug mei to kam se kam!!!

ye kaljug kehna kalyug ko mene meri behen se seekha he " kaljug he bhai!! ghor kaljug!!" 

chaliy kaljug hi sahi!! lekin is ghor kaljug mei bhi, hm sabhi ko fate mei tang atkana bada acha lagta he!! kyu? kuch galat kaha kya?? Haa shayad keh hi diya. Hm mante kaha he ki hme esi bhi koi aadat he! Hm to apni chinta, sahanubhuti, bin maangi advice etc dete he kisi ka fata dekhkar.....or bharsak koshish bhi karte he ki puri ki puri ramkahani maloom ho jaye bs kese bhi; aage us raamkahani ka idli, dosa, sambhar, pizza, pasta bana kar kese parosana he ismei hm sab mahir he. fir hm hi kehte he " aji aajkal ki duniya hi esi he kisi ko chen se jeene de tb na!! " Lekin hm khud bhi to kaha chahte he ki koi chen se jiye!! khas tor se tb to bilkul bhi nhi jeena chahiy jb us shakhs ne pehle hmare hi kisi fate mei apni tang atka kar uska mirchibada banaya ho!!
kyu? ab to shayad kuch galat nhi kaha?? he na?

kher, jane dijiy. in sabhi namak, mirch masalo ko bhul jayiye thodi der k liy. Or sochiye ki wo zindagi kesi hoti agar hm sabhi ek dusre k fate ko dekh kar tang na atkate or ye sochte ki sabki apni apni zindagi he...apna apna jeene ka tareeka!! kya pata mei khud us situation mei hota to shayad wesa hi karta ya shayad usse bhi bura!! Try to accept others as it is! jesa hua jo kiya life mei! jesi bhi chali ho life! aap apni life ki chinta kijiye usko behtar banane ki koshish kijiye or agar aapas mei kabhi mile to hasi khushi se miliye, jese, na aap kuch jante he, na wo! ya fir jo bhi aap jante he, aap sehmat he! koi raaye na banaye, gossip na banaye.

 



hasi khushi se miliye or khushiya baantiye! tyohar ka mahaul he khush rahiye or rehne dijiye!!







Saturday 1 October 2011

Maa teri surat se alag, Bhagwan ki surat kya hogi!!


 


On this auspicious auspicious occasion of DURGA PUJA, the air around is filled with enjoyment....enjoyment of welcoming The MAA. MAA with her children coming to her father's house. We are all ready to welcome her as daughter coming home. And I am welcoming her as my MAA coming home!!




HER eyes as beautiful as Her's, HER bindi as similar as Her's, Her long hairs as same as Her's, HER face as similar as Her's, HER Divine aura makes me feel as I am close to Her. SHE is coming home, as if She is coming home!! After so many so many days..........so many months...........so many years........She is coming home!!


WELCOME MAA!!